Keh diya maine dost, dost tune toh hadein hi paar kar di
Apni dosti ke naam par tune apni aadatein kharaab kar di
Na Maangi maafi ek baar bhi tune jo galtiyaan hazaar kar di
Thak gaya main sunke tune zehreeli baatein be-hisaab kar di
Kahi baatein vo jo tujhko chhupani thi
Kahi usko bhi jisse chhupani thi
Kya tere hosh thikaane the
Tode vaade woh jo tujhko nibhaane the
Apni cheezein bhi tujhe maine di thi
Jitni ho saki madad maine ki thi
Par tujhko kadar hi nahi thi
Aur mujhko khabar bhi nahi thi
Dooriyaan badhaai khadi deewaar karke
Ja tu jeet gaya dosti pe vaar karke
Chot khaai maine tujhpe aitbaar karke
Chhodi maine bhi yaari khud se pyaar karke
Keh diya maine dost, dost tune toh hadein hi paar kar di
Apni dosti ke naam pe tune apni aadatein kharaab kar di
Na maangi maafi ek baar bhi tune jo galtiyaan hazaar kar di
Thak gaya main sunke tune Zehreeli baatein be-hisaab kar di
Tujhse dosti ki chaah ik rakhi thi
Aur koi bhi ummeed nahi ki thi
Par itna bhi tujhse hua nahi
Mera dil hai yeh pyaar ka kua nahi
Apni dosti ke naam ek kaam kar de
Mujhe door se hi akhiri salaam kar de
Chala ja meri zindagi se, maaf kar de
Lautna na mujhpe bas yeh ehsaan kar de