menu-iconlogo
logo

Tu Hai Kahan

logo
Lời Bài Hát
Ke jab main had se aage badh gaya tha aashiqui mein

Yaani zindagi ko le raha mazak hi mein

Fir mazak hi main mil gaya sab khak hi mein

Chhu kar aaya manzile to tanha tha main vapasi mein

Jaise phool tode honge tumne jholi bharke

Main woh phool jo ki reh gaya tha shakh hi mein

Jaise khwab hi main khwab gahein aankh hi mein

Pal se pal main kya hua tum reh gaye bas yaad hi mein

Ek sawal machalta hai mere dil mein kabhi

Tujhe main bhool jaaun ya tujhe main yaad karoon

Tujhi ko sochke likhta hoon jo bhi likhta hoon

Ab likh raha hoon to fir kyu na ek sawal karoon

Main is sawal se gham to badal du khushiyon mein

Par inn bejan si khushiyon se kya kamal karoon

Par ab sawal bhi kamal, tu sanbhaal le filhaal

Yeh sawal bicha jaal kya main chaal chaloon

Chaal chal tu apni main tujhe pehchan lunga

Main apni mehfilon mein sirf tera hi naam lunga

Tujhe pasand hai dheema lehja or bas khamoshiyan

Main tere khatir apni khud ki saansein tham lunga

Kya tere sare aansu mere ho sakte hai

Aisa hai to tere khatir hum bhi ro sakte hai

Tere khatir mere rone par ab tum bas has dena

Ek bar teri muskurahat ke piche hum sab kuch kho sakte hai

Kya meri mohabbaton ka koi hisab nahi hai

Kyun teri aankhon main mere liye koi khwab nahi hai

Tujhe kya hi karun ghamzada ab jane de

Ki tere pas mere pyar ka jawab nahi hai

Kitni muddate hui hai, tumne khat kyun nahi bheja

Ga leta hoon tere liye, mausiqi nahi hai pesha

Aane ki khabar hi nahi tere ab

Ab kya mausamon se puchhu tere aane ka andesha

Aankhon mein aansoo nahi hai

Kahan hai tu kaha tu nahi hai

Dil ko ye ab jan’na hi nahi

Bas tum chale aao

Tu hai kahan,

Khwabon ke iss sheher mein

Mera dil tujhe dhundta, dhoondta

Arsa hua, tujhko dekha nahi,

Tu na jaane kahan chhup gaya, chhup gaya

Aao fir se hum chale,

Tham lo ye hath, kardo kam ye fasle

Na pata ho manzilon ka, na ho raste

Tu ho, main hoon, bethe dono fir, hum taron ke tale

Na subah ho fir, na hi din dhale

Kuch na keh sake, kuch na sun sake

Baatein saari woh dil mein hi rahein

Tumko kya pata hai kya ho tum mere liye

Kehkasha ho tum, kahaniyon ki pariyon ki tarah ho tum

Mujh mein aa sake na koi iss tarah ho tum

Ho yaqeen tum mera, ya fir guman ho tum

Aashiyan ho tum, main bhatka sa musafir aur makan ho tum

Meri manzilon ka ek hi raasta ho tum

Dhoondhta hai dil tujhe bata kahan ho tum

Ho jahan kahin bhi, aao paas taki aansu mere tham sake

Yaad aa rahe ho tum mujhe ab har lamhe

Aisi zindagi ka kya jo tum zindagi main hoke

Meri zindagi na ban sake

Sochta rahoon ya bhul jaun ab tumhe

Tum mil hi na sakoge, to fir kaise chahoon ab tumhe

Tere sare khwab pal main jod denge

Jisme tu hi na basega, fir wo dil hi tod denge

Chhod denge wo sheher, ke jisme tum na hoge

Toot jayenge makan, woh sare hasraton ke

Guzre pal jo sath tere, wo pal hai bas sukoon ke

Mil lo ab tum iss tarah se, ke fir nahi miloge

Tu hi tha sath mein mere,

Kaise main jiyunga akele

Taare gin gin ke ho gayi hai subha

Tu hai kahan, khwabon ke iss sheher mein

Mera dil tujhe dhundta, dhoondta

Arsa hua, tujhko dekha nahi,

Tu na jaane kahan chup gaya, chup gaya