Shaayad hua sahi, hum mile hi nahiin
Teri talab abhi dil mein hi hai kahiin
Baatein bhi na huiin, nazrein bhi na miliin
Hairaan tu kar gaya, dil mera bhar gaya
Aksar hua yahi, main ghalat, tu sahi
Tu mera maan tha, tu bhi mukar gaya
Tu bhi mukar gaya
Dil se utar gaya
Teri tasveer le ke sochoon tere baare mein
Bachi tanhaai, aur sirf main aur taare hain
Bas isi aasre pe kat′ti hain raatein meri
Ki shaayad sochta hoga wo mere baare mein
Haan, jis nazar ka main hoon muntazir, hoon aaj bhi
Usi nazar ko mera intizaar tha nahiin
Taras gaye hain jis pukaar ko ye kaan mere
Wo sab jaanta hai, bas pukaarta nahiin
Kabhi tu hai shaayad, kabhi tu yaqeen hai
Kabhi tu hai shaa'ir, kabhi shaa′iri hai
Kabhi tu hai mera, kabhi ajnabi hai
Kabhi tu yahiin hai, kabhi tu nahiin hai
Mere in labon pe bas ek kaash si hai
Jo rone na deti wo teri hansi hai
Jo teri jagah thi wo khaali padi hai
Tu mujhse hai door, par yaadein yahiin hain
Bas teri hi yaadein is dil ko jagaati rahiin
Tere bin adhoora, mujhe kyuun hai tu laazimi?
Main thahra musaafir aur chubhti hai teri kami
Har shaye hi hai haasil, bas tu hi laa-haasil rahi, o ajnabi
Shaayad hua sahi, hum mile hi nahiin
Teri talab abhi dil mein hi hai kahiin
Baatein bhi na huiin, nazrein bhi na miliin
Hairaan tu kar gaya, dil mera bhar gaya
Aksar hua yahi, main ghalat, tu sahi
Tu mera maan tha, tu bhi mukar gaya
Tu bhi mukar gaya
Dil se utar gaya
Wo kahti thi, aankhon mein meri hai nami
Aur nami to hoti wafa ki nishaani
Nami ki hai kami aankhon mein tumhaari
Jo dekhi hai kuch ab tasveerein puraani
Wo kehti thi, lafzon mein mere usey
Ek aks sa milta hai
Talaash thi usey jis shakhs ki, mera hi chehra
Us shakhs se milta hai
Be-rukhi kar gaye ho naye andaaz se tum
Is chup si awaaz ka to naaz the tum
Aise paas the tum, jaise saaz mein dhun
Ab sun'ni hai awaaz to ja ke raaste sun
Aate hi nahiin, ye socho, kaash ki tum
Aise bikhroge, jaise patte taash ke tum
Mera kal, mera maazi, mera aaj the tum
Are, beeti baatein chhodo, mera khwaab the tum
Hain aansu kya laazim, jo yaad hai aati teri?
Wo mushkil ki ghadi judaai ka waqt nahiin
Main khwaab bhi dekhoon to khwaabon mein bhi hai tu hi
Hai dil kah raha, hum mileinge dobaara kabhi, shaayad kabhi
Shaayad hua sahi, hum mile hi nahiin
Teri talab abhi dil mein hi hai kahiin
Baatein bhi na huiin, nazrein bhi na miliin
Hairaan tu kar gaya, dil mera bhar gaya
Aksar hua yahi, main ghalat, tu sahi
Tu mera maan tha, tu bhi mukar gaya
Tu bhi mukar gaya
Dil se utar gaya